Mazboorian

Jindagi me kuch aishi bhi majboorian hoti hein.
laakh chaahat ho nazadikion ki;
na jaane kahaan se  aa jaati duriyan  hoti hein.
dil ke kone me chipaaye he tasvire-yaar;
duniya  ka dastoor dekh fir bhi taláashiyaan hoti hein.
zindgi to bas khwaabghaah he
haqikat me kahaan mastyaan hoti hein.
nazar ki najar se baat hoti he miyan baaki  sab bahas-mubahistiaan hoti he.
dil ki baat he dil me hi rakh lijiye
zubaan pe aa jaaye;bahar talwar-e -myaanian hoti he.
baat mohabbat ki ho ya nafarat ki      beech me kyun chahardeevariaan hoti hein.
baat baat pe ban jaate he hindustaan-o-pakistaan;jara-jara si baat me itani naraazgiaan hoti hein.
baat faqat jajbaaton ki he na khelo  unse
khaak ho jaayegi saari qaaynaat ye vo chingaariaan hoti hein.
nargis si naazuk pak-o-shaffaq mohabbat, apni mahfil rakkho door;raas aati inko viraniyaan hoti hein.

Posted from WordPress for Android

15 thoughts on “Mazboorian

  1. Ten out of ten 😀 “dil ki baat dil me hi rakh leejiye,zubaan pe aa jaaye
    Bahar talvar-e-myaan hoti hai” wow!
    And “dil ke kone me chipaaye he tasvire-yaar;
    duniya ka dastoor dekh fir bhi taláashiyaan hoti hein.” Lovely!

    Here’s one for similar plot

    Seeshe ke kissey

    Kabhi lage ye
    Raazi hain boondey
    Khusnumaa aus si
    Kuch kuch sazee hain

    Dilaasa hai man ko
    Sab kuch sahi hai
    Mane na dil par
    Shaq to wahee

    Shaamil hai pal yeh
    Aur thehraa yahi hai
    Par dhundhla hai mausam
    Aur uljha hai aasmaa

    Nasamajh samaaj kuch
    Kuch kissey kahaniya
    Mazboor hain lab jyo
    Saazish ho baatein

    Mazboor hai chipney ko
    Seeshey ke kissey saarey
    Dharaktey se panno me

    Ghulne ko baatein
    Zid pe adi hain
    Par dariya ko, samandar ho jaise
    kyo Ik hi manzil paaband hai
    ik hi manzil paaband hai

    Liked by 1 person

  2. who one knows about comming moments n tommorow.today’s smilness can be sadness tommorow.leave to play from emotions.it is not right way.it is india not europe n america.

    Like

  3. taaruf rog bayn jaayein to usko bhoolna behtar;taalluk bhojh ban jaayein to usko chodna achcha.vo afsaana jise anjaam tak laana na ho mumkin use ek khoobsoort mod deke chodna achcha……..chalo ik baar fhir se ajnabi ban jaayein hum dono…….

    Like

  4. kyu ek hi manjil paband he,
    kyu ye dastoor laamband he,
    a dil-e-naadaan kuch to samajh,
    abbu ki gaaliyan,ammi ki jootiyan;
    achcha sabak naadaanedil ke vaste rajamand he.

    r u agree? from auntiji

    Like

  5. abbu ki gaalian ya ammi ki gaalian khaane ke liye rajaamand ho;
    ya taaleem ki bulandiyaan choone ke liye rajaamand ho.
    mere khayaal se taaleem aur rutba haasil karne ke baad sab kuch haasil kiya jaa sakata he.

    Like

Leave a Reply

Please log in using one of these methods to post your comment:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s