Teri haseen aankhon me…….

Teri in haseen aankhon me ye kazal;

Kya koi Afsaana likh rakhkha he.

Main tau kya sher kahun ki ,

Poori duniya ko deewaana banana rakha he.

Uf, ye saagar si gahari aankhein, 

Shola he ki shabnam ,ya meri tauba; 

Tu hi bataa nazneen !! lagta he koi maikadaa.

Inhee ki gahraaiyon me minya Ghalib bhi doob gayaa. 

Ek khobsoorat Majaaj tha must;

Vo bhi inki maiykashi me fanaa  hua. 

Subu he maiy se bhari hui ki bekhudi me khoyi huyi;

In aankhon pe ghazalon me kitane ķalam toote honge .

Qaatil hein teri afsaanaparast aankhein ;

Ek baar hizaab to hataale ki kitne aur qatl honge.

Mein  bhi dekhun vo manzar ki khanzar si teri nighaahein ;

Aa ek baar ki mein bhi doob ke dekhun ye saagar si aankhein.

Ek jajbaat muhobbat ka basaa leti gar too inme; 

Ki roj ek muhobbat se koi dil qafiya padhata inpe.

Tere aankhon ki gaharaaiyon me doobke likhta koi kahaani; 

Ke tera la-zaval husn-o-nargisi aankhein ho jaati la-faani.

22.10.2016              00.21at midnight

(A reply to cattie’s world)

All copyright is reserved by aruna sharma.

4 thoughts on “Teri haseen aankhon me…….

Leave a comment