Mene tujhe bulaya bhi tha,
Aut dodh ke tu aaya bhi tha.
Mein khush apni khushnasibi pe;
Uff,ye kya,mere dil ka mugalta tha.
Teri raftaar yun aandhi si thi;
Meri nigaahon pe dhool ka parda tha.
Khusnasibi ban gayi jaise nurgis ka phool,
Haqikatan use viraane me khilana tha.
Har vaham,har bharm ,chalo,
Maan lete hein, apna naseeb tha.
Tanhaaiyaa saath janm se thi,
To kya gum,koi to hamdam saath tha.
Baad maut ke poochengi meri tanhaaiyan,
Vo hamaraa hamsafar kahaan gaya,kya kusoor hamaara tha.
Meri rooh pe koyi fatihaa chaahe na padhne aaye,
Tanhaayion ke ashq padengi fatiha,
Jaise kaish ke mazar pe hota tha.
Raftaar me gum gaye sab dost ek jhalak dikhake,
Mere aahista se chalte nazuk zazbaat the saath jaise roohaani saya tha.
Nahi gam ki mahfil faqat alam -e-shor-o-raftaar ka aaina;
Mujhe to pyaar faqat meri aahistgi se tha.
Written by aruna sharma.
22.04.2018. 11.30pm.
Awesome
LikeLike
Shukriya ji.
LikeLike
Nice 👌
LikeLike
Thanks dear!!
LikeLike
Behtarin kavita….
Mene to tumko bulaaya tha;
Aur tu dodh ke aaya bhi tha.
Mene socha apni khusnasibi,
Uf,faqat vo dil ka mugaalta tha.
kyaa khub likhaa hai……..behtarin panktiya.
LikeLike
Bahut bahut shukriya ji.
LikeLike
swagat apka.
LikeLike
Kya baat hai. Bahut khoob💙
LikeLike
बहुत खूब ।हिंदी मे भी टाइप कीजिए
LikeLike
Thanks,dear!!i will try.😊
LikeLike
Thanks,dear mehul ji.!!
LikeLike
Great work mummy
LikeLike
Very very much thanks,dear.!!
LikeLike