Har zindgi ki haqikat he, meri jaan;
Vo kisi ka aanaa-o-janaa hoke meharbaan.
Ye gunaah na kar tu ,aye nadaan dil;
Aksar khwaabon ke pul toot jaate hein.
Mohabbat gunaah nahi,par he patang si naazuk;
Khwaabon ke aasmaan me dhaage hi toot jaate hein.
Nikaah kar le gamo se jo tu,phir dekh uska asar;
Log bahut aayenge ban mehman,par jana unka rahega be-asar.
Khoobsoorat raat ki tanhaayion me sitaare raah bataayenge;
Insaan to khud bhatka-latka sa he,ye kya mohabbat-e-qaynaat sang rah paayenge.
Ye khuda ki amaanat he-meri nazneen rooh!!
Tanhaayiaan bhi yahaan gungunayegi,meri lala rukh.!!
Dekh jara dil ke aaine me tu aur pachaan le apne paraaye;
Vahin ek kone se ek sadaa aayegi banke duaon ke sarmaaye.
Pahle odh le un sarmaayon ka aanchal;
Phir nikal tafreeh ki khatir hirni si chanchal.
Written by aruna sharma.
29.03.2018. 10.30am.
All copy right is reserved by aruna sharma.
Images are taken from google.
You must be logged in to post a comment.