Sadiyon se…

Sadiyon se khade hein ye do imaartein;

Bulandi se sir uthaye aasmaan ki taraf. 

Jaise aasmaan wala baahein failaaye khada us taraf.

– 

Butkhana ho ya ibaadatkhana,

Matha tekne ke nishaan peshaani pe bayaan.

Kya fark padta he ,maathe pe tikaa laga ho ya ragad se pade syaah nishan.

Fark to padta he tab jab ibaadat karke pyaar se,

Baahar aate hi girti he bijliyaan nigaahon se.

Aye naadan!!pyaar ka sajda karke;

Tu deta he kya paigaam jamaane ko.

Ye koi tarika nahi tera apna majhab bachaane ko.

Qaynaat banaane waale ne to fakat ek pyaar ka majhab banaya;

Aur tumne us gulistaan ko kabristaan banaya.

Mala ho rudraksh ki ya gino motiyaan tasbih ki;

Jubaan pe pyaar per dil me mail sirf fazihat he masih ki.

Vo saare chaand taarien mere tumahaare nahin sabke hein.

Jo bhi nazar dekhti he unhe pyaar se,

Vo sab nazaaren tasvvur me sabke hein.

ALLAH TERO NAAM;ISHWER TERO NAAM…

Written by aruna sharma.

25.09.2017.       .      8.52pm

Tashbih’-rosary of muslim

9 thoughts on “Sadiyon se…

Leave a Reply

Please log in using one of these methods to post your comment:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s