mere aziz mere khawaab

bade aziz hein ,mere khuda;
mere apne khwaab;mujhse hi alhadaa.
meri zindgi ki kismat me kyon;
likh diye her sawaalon ke jawaab juda juda.
har tohmaton ke samnder me,
tairegi meri kashti bin nakhuda.

image

aur tu dekhega tere bande ke,
dil  me lagi aag aur dhuwan sulgata.
teri bhi to aankhe hongi,dil hoga,
jaroor jalenga tera dil aur aankhon ka band parda.
yuhin chain naseeb tujhe bhi na hoga,
bhej kar teri bandgi me jhuka ek bebas banda.
aaram se soya tu aasmaan me,
apne bando se karke kya sauda.
qayaamat tak ab tujhe bhi nahi karna intezaar;
ki har deevar pe chap chuke teri,
teri har ibaadat ke ibaarat ka daavaa.
ye imtihaano ka daur,ek baar tu bhi
guzar jaa,
humaara to kya dena he imtihaan,
vo jo kismat me tune likha.
ek jaljala sa futega kahin aur na bachenge hum to teri qaynaat pe ho kaun fidaa.
bus kar mat dikha apni khudaai aur
rahnumai vo zaalimo ko dikha..
mera toota dil mere vaste hi rahne de;
usse se tujhe kya matalb;aye zannat ke khuda

image

image

tera khuda haafiz!!ya khuda.

17.4.2016 00 .47am

6 thoughts on “mere aziz mere khawaab

Leave a comment