yu hi tamasha(raat ki bachi nazm ka hissa)

yuhi yaha dil ka naam hota he;
pyaar to bas naam – e -jubaan hota he.
dharkate he seene me dil aam hota he;
un aankho ki kya parwah jo kisi ke naam rota he.
pyaar to mahaz zazba he jaise aur zazbaat- e-aam hota he;
us pyaar ki khatir kaahe ko dil-e-insaan badnaam hota he.
jisne banaya insaan ko zazbaat deke baitha aasman hota he;
muskura ke dekhana yu hi us meherbaan ka kaam hota he.
vo rasool-e-khuda,tu usool-e-judaa khaak-e-aam hota he;
tu sahi aur me sahi ,baaki jhagada
duniya ka roj sar-e-aam hota he.
tu nahi to màin bhi nahi,mere mahboob !!vo dekhe kya anjazaam hota he;
qaatilon se kya kaisa dar,aakhir ko vo bhi insaan hota he.
parvaano ko jal ke khaak hona he ke yu hi roj qatl-e-aam hota he.
zazbaat nahi juda dil se mere humdum ! tu kyo pasheman hota he;
uthate dashton ,tirchi nazaron ki kya párwaah ye tamasha sadiyo se aam hota he.
dekhe khuda aur uski khudaai kahaan pe uska karam hota  he;
aa gale lag jaa,meri jaan !! ke har jaan pe,jahaan beraham hota he.
mar jaayenge ,maar daalenge,ye bayaane her gali me takiya qalaam hota he;
khuda bhi,khudaai bhi,duniya bhi dekhe,pahaĺe kiska kaam tamaam hota he.
yuhi tamasha,yuhi manjar,yuhi josh-e-balaa ka naam hota he;
o khuda !!jara insaan banke dekh,
aakhir tera ye jahaan kyu beaaram hota he.
mit gaye hum to mit jaayegi teri qaynaat,kyoker badnaam hota he;
aana he to jaana bhi mukrar,dekh !
ye ishq aakhir tera hi ek naam hota he.

16.1.2016                      6.30 a.m.

Posted from WordPress for Android

22 thoughts on “yu hi tamasha(raat ki bachi nazm ka hissa)

Leave a Reply

Please log in using one of these methods to post your comment:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s