chauhan shayari

mana ke tu banda he bada jiddi;
tere sheron se jhalkati he aashiqi; mene saari pad daali,
aur bahut se mashvire bhi diye.
na jaane vo mashvire kahaan kho gaye.
kaya tere mahboob ne vo saare door kar diye.
samajh me nahi aata tera mahboob bhi;
insaan he goya saya koi,
kal tere her majmun pe tujhe samjjhaya tha;
aaj subah uthate hi un khaton ko
gaayab paya tha.
kal dekhi thi teri chand tasvirein;
saath me thi maasoom  si tadbirein;
shimlà se srinagar jaane ka rasta
bhi bataya tha,
ke vaha ki her fizaaon me tera mahboob nazar aayega;
ke her baar uski sadaa sunaai degi,
jitna ji chaahegà jab bhi use pukarega.
aakhir ko janaab itna samajh lije;
khawabon ko khawaab hi rahne de;
asmaan ko asmaan hi rahne de.
mana ke tu use chahata bàhut he magar;
vo sharik-e-hayaat kisi ki,
tu apni chaahat ko chaahat hi rahne de.
ye chaahate ban jaaye teri kalam ki taaqat;
ke tere kalaamon ko bhi mile khuda ki inaayat;
kyonki pyaar jismaani nahi hota.
do chaar kadam aage bhi bad aur
dekh pyaar faqat ruhaani hi hota.
mat ban Beparvaah khud se;
ho jaa laparvaah sabse;
fir dekh tamasha saudaai ka,
chot lagegi tujhe magar dekh rona khudaai ka.

bakaulGHLIB’-‘-””ye ishq nahi aasaan bus itna samajh lije;
ek aag ka dariya he aur tair ke jana he.”         khuda hafiz.

Posted from WordPress for Android

14 thoughts on “chauhan shayari

  1. Wow 😀 that was great! And “kal tere her majmun pe tujhe samjjhaya tha;
    aaj subah uthate hi un khaton ko
    gaayab paya tha.”
    “kal dekhi thi teri chand tasvirein;
    saath me thi maasoom si tadbirein;”
    More than feeling ,I liked the flow that survived throughout the poem 😀 keep it up

    Like

  2. Here’s some more on the name of chauhaan shayari :DShigaaf ho jyo rooh ka gehra
    Dua bhi jisko na bharti

    Malak jo munasib nahi
    Ke waaste khushi se bair kaisa
    Maana kuch khwaab sang rehte hain
    Malak -e-maut se mulaqat tak
    Par kuch khwaab hai hamaare to
    Kuch khwaab hai muqaddar ke bhi

    Paane ko chain do aur ka
    Hijr-e-yaar bhi manjoor hota hai

    Like

  3. tumko pata he bada ajeeb shakhs he ye.marta he kisi aur ke beĺoveđ/married pe jaise duniya me unmarried ķa akaal par gayaa ho.AMU me tmhaare dadaji se 50saal pahale ek mahaan shaayer hua tha vo bhi delhi ki kisi married ko dil de baitha tha.aakhir me vo nerves break down ka shikaar ho gaya tha.lagata hai ye janaab bhi usi ke raste pe jaa rahe hain.isliye maine usiko ye poem post ki he banda raste pe aa jaaye.m i right.

    Liked by 2 people

  4. o lttile guy jajbaaton ke bayaan ke liye apni urdu mix hindi hi kaafi he.haan thora bahut dusari lnguage bhi aani chaahiye.u know hibru se arbi,arbi se faarsi fir india me hindu n muslim dono samajh sake isliye faarsi aur hindvi language se urdu ka janm hua.aaj bhi court ya reveneu department me assi pratishat urdu ka istemaal hota he.HAPPY NEW YEAR TO U N UR ALL GUYS.

    Like

Leave a comment