tum mere saath bandhe ho
ek ikratnaama likh chuke ho
tumhaari jindgi ka hissa hun
qaayanaate-humsafar ho chuke ho.
yaad rakhna he tumhe
chod nahi jana he mujhe
chand kadam sang chaĺe ho.
ye tohafe teen jo tumne diye
meri naaj ka saamaan he vo.
ishq,pyar,mohabbat naam hein
tere tohafe ka meine diye hein jo.
beech raah me chod na jana
ravaayatein mere rishte ki nibhana
tune hi naam diya rishton ko.
dekh kahin fasaana na ban jaun
yuhi dile-deewana na ban jaun
tere muqabil aabhi naadaan hun jo.
tera her baat pe kahna ke
nahi maaloom;nahi pata
nakhuda tu aur khuda bhi tu
ye teri nahi nahi meri jaan pe bani vo
aa aa ke mujhe rulaati he vo
meri ashqon ke ufaan me
kahin bah na jaaun me
sambhaal le mujhko.
kho gayi fir na milungi soch lo
rah jaayegi yahin teri nahi nahi
tanha si din raatein teri yahi
kabhi aah kabhi afsose yahi
par mein nahi;mein nahi
rooh ke bina fir tum bhi kahaa ho…..
Posted from WordPress for Android
Too good !
LikeLike
welcome.
LikeLiked by 1 person
u r nishthurt n also anadi?why?whose hobby is poemwriting can be cruel n unknowning person?or if u r decieved by anyone.probabely u like these two words.sab kuch seekha humne na sikhi hoshiyari;such he duniya waalon ke hum he anadi……u r most welcome.
LikeLiked by 1 person
Song is too beautiful , from movie “Anari ”
One who is emotion less (Nisthur ) trying to write about emotions in the form of poems.
One who is new in this game of writing is “Anadi ”
Shukriya
LikeLike
☺
LikeLike
welcome anaadi ji.
LikeLiked by 1 person
dhakke khane wala jo khud ko anaadi kahata he,his life’s values is increased.o nisthur.
LikeLiked by 1 person
☺
LikeLike
☺
LikeLike