Umar-e-fasana

Chadhte suraj ko sab salam karte hain,
Dhalte suraj ko kisne dekha he, siva iske ki din khatam hua.
Kisi ne nahi jana, ki pure din ka fasana uske pas he.
Din nikla bachpan ki manind,
Jawan khubsurat din raton ka ahsaas dhalte din ke pass he. badalte váqt ke saath aur jawaan hue jaate he
goya sitaaron bhara aasmaan hue jaate he. agale din ka aagaaz hum dhalte din ka anjaam hum jese her gul ka gulistaan hue jaate he. tum kahte ho ke pyaar bhara dil he tumhare paas lekin hum to her dil ke mehmaan hue jaate he. ugte suraj ko imtihaane daur se gujarna he aur hum humsafar-e-imtihaan hue jaate he. han yehi tera mera umar-e-fasana he ya me deewana hu aur tu anjaana he. ufaqn pe ugta suraj,ufaqn pe dhalta suraj, aur nahi khuch faqat ahsaason ka paimaana he.

23 thoughts on “Umar-e-fasana

  1. Paschimi Sooraj

    Ugte sooraj ko sabne jaancha
    dhalte sooraj ko kyu na parkha?
    saakh kum
    par baat badi hai
    poora din samhaal kar
    unhe izzat mili hai

    saanjh dhal aayi to kya
    aage chamakte sitaare hain
    chamak dhamak se door bhi bikhre
    jaane kitne najaare hain

    simat te hue ik kone me
    door pashchim ke bichaune me
    dhalte samay gujre hai wo
    kheto se khalihano se
    samajh parakh aur tajurbe ki paati
    bina koi matlab liye
    unhine to baanchi

    Devoted to the first blog! 😀 carry on the great job 😀 best of the wishes

    Liked by 2 people

Leave a comment